Monday, July 20, 2009

Zindagi


"Allah Ta'la har insaan ko zameen par bheej deyta hai aor kehta hai... Ye tumhari azmaish hai, aor ye tumhari umer ki had... Tumko itney saal zameen par iss tarha kay halat kay ssath rehna hai... ye ye masail hain jo tumhen zindagi mai pesh aaingey, ab ro kar inka samna karo ya hans kar inka hal sohney ki koshish karo... Ya in par zindagi bhar matam kartey raho, ye sab tumharey haath mai hai... Behirhaal, tumko in sab ka samna karna hi hai... Hum zindagi kay imtahani kamrey mai beth kar, pedaish sey moat tak mukhtalif qisam kay test dayney kay alawa kuch nahi kar rahey hotey... Har test ka doraniya alag hota hai, usski type alag hoti hai, baaz ka sawal nama zara asan hota hai, baaz ka khasa mushkil, baaz ka sawal nama Syllabus pay phela huwa hota hai, baaz ka mukhtasir jawabaat magta hai... Baaz paper khubsoorat writing mai kartey hain, baaz gandi writing mai, Magar aik baat tou tay hai kay hum sab dey paper hi rahey hain aor ye papers kesey bhi hon, inka Checker aik hi hota hai... Wo merit par puri diyanat-daari kay saath hamen marks dey deyta hai, aor vo checker Allah hai !!

Kamra-e-imtehan mai aaney kay baad shor machaney kay bajaey kay falan ko paper asaan diya gaya hai, falan ko naqal karaey jarahi hai, falan ko kam sawal hal karney hain, falan ko ziyada waqt diya gaya hai, falan ko diya janey vala qalam aor sheet mujhsey behtar hai, falan ko paani aor dusri sahuliat di jarahi hain, falan ko calculator istamal karney ki ijazat hai ya falan ney kitaab kholi huey hai.... Kiya ye behtar nahi hai kay hum sirf aor sirf apney question paper par tawwaja den, usko hul karney ki koshish karen, ye dekhen kay iss mai sey kitney sawal hamen aatey hain aor kitney nahi, aor jo sawal hamen atey hain unka jawab hum kitni achi tarha dey saktey hain.... aor jo nahi aatey unko hal karney kay liye hamen kiya karna chaheye... Kiyonkay hamen khaali paper nahi chhorna khali paper dekh kar hamen marks nahi milengey aor na hi hamara koi uzar mana jaeyga..."


(In "Thora Sa Aasman" by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment