Monday, July 20, 2009

Realization


Allah humein kissi moqe par yaad aye na aye ,do moqoon par zaroor yaad aata hai aaik jab ko koi cheez chahiye hoo ya phir koi cheez chen jae"
.......................................

Zindagi main hum kabhi na kabhi uss muqaam per aajatay hain.. jahan saray
rishtay khatam ho jatay hain.. wahan sirf hum hotay hai aur Allah hota hai.. koi
maan baap, koi behan bhaii, koi dost nahi hota.. phir humain pata chalta hai k
humaray pairon talay koi zameen hai na sar pe koi asmaan.. buss sirf aik Allah
hi hai jo is khala mei bhi humain thamay huay hai.. phir pata chalta hai k hum
zameen per padi miiti k dhair main aik zarray ya darakkht per lagay aik patay se
ziada wuqat nahi rakhtay. phir pata chalta k huamray honay ya na honay se sirf
humain farq perta hai.. sirf humara kirdar khatam hojata hai.. kainaat mein koi
tabdeeli nahi atti .. kisi cheez par kooi asar nahi parta…………….Phir hamari aqal
thikanay aajati hai ..


(In "Peer-e-Kamil" (S.A.W) by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment