Din-Raat kay Aanay jaanay main
Dunya kay ajab-khanay main
Kabhi Sheeshay Dhundlay hotey hain
Kabhi Manzar saaf nahin hotay!
Kabhi Suraj Baat naheen karta
Kabhi Taray Aankh badaltay hain
Kabhi Manzil Peechay Rahti hai
Kabhi Russtay Aagay chaltay hain
Kabhi Aasein Tour naheen Charhteen
Kabhi khadshay pooray hotay hain
Kabhi Aankhain deikh nahee sakteen
Kabhi khawab Adhuray hotay hain
Ye sab sahee hey Laikin
Aashoob kay Manzar-Naamay main
Dunya kay Ajab-Khaney main
Kuch saaya karti Ankhoon ka
Pamaan to Dikhai datey hain
hathon sey Agar-cheh door sahi,
Imkan to Dikhaii datey hain
Haan,,, rait kay is durya say udhar
Eik pairoon wali basti key
Unwan to dikhai datey hain
Manzil say Kosoon door sahi
Pur-Dard sahi , Ranjoor sahi
Zakhmoun say Musaafir choor sahi
Pur kis say Kahein ay jaaney-wafa
Kuch aisay ghaw hotay hain
Jinhain Zakhmi Aap nahin Dhotay
Bin roye hoye aansoo ki tarha
Seenay main chupa kar Rakhtey hain
Aur Saari Umr Nahin Rotay
Nendain bhi Muhayya hotti hain,
Supnay bhi Door Nahin hotay
Kyun phir bhee jaagtay rahtay hain!
Saari raat nahin Sootay
Abb kis say kahain ay jaanay wafa, ay ahlay-wafa
Kiss Aag main jaltay rahtay hain,
Keun Bujh kar Raakh nahin hotay…..
No comments:
Post a Comment