Monday, July 20, 2009

Replacement of Love



"Kaun kahta hai k kisi se ek baar mohabbat ho jane k baad uss se nafrat ho sakti hai? jo kahta hai wo duniya ka sab se bara jhoota hai... cycle of replacement mein mohabbat ki replacement nahi hoti... khud ko dhoka dene k bawajood ham jante hain k hamare wajood mein khoon ki gardish ki tarah daurney wala naam kiss ka hai... hum uss per ek k baad mohabbaton k dher lagae jate hain, kahte jate hain, abb hum iss se mohabbat kartey hain, abb hum uss se mohabbat karte hain.... laken jo zyada door hota jata hai wo zyada pass ata jata hai... aur phir wo hamarey dil aur dimagh k uss kone mein ja puhanchta hai k agar kabhi usey wahan se nikalna par jaey to phir uss k baad hum ek normal zindagi guzarne k qabil nahi rahte...."


(In "Amar Bail" by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment