Thakan se choor badhan toot kar bhikhar jaiey...
Bass abb tou kafla-e-zindagi thehar jaiey...
Julasti rooh ko shaied amaa.n miley...
Badhan Suraab k duryea mai hii utar jaiey....
Death is but a temporary fading
We shall go on after taking a breath.(Meer Taqi Meer)
Mera Dard Naghma-e-bay nisha.n
Meri zaat zura-e-bay nisha.n
Mairy dard ko jo zuba.n milay
Mujhy aap apna nisha.n milay
Ham k dasht-e-juhan ko aabad kiey baithy hain
Arzu-e-yaar ko abb haaq kiey baithy hain
Khwab k taar se khuwaiesh ko rafu karty
Damn-e-dil ko abb chaak kiey baithy hain
Koi mujh ko mera barpoor sarapa la de...
Mery bazun, meri ankhain, mera chehara la de...
Aisa darya jo kisi aur samndar mai giray...
Ess se behtar mujh ko mera sehra la de...
Ye zoam tha k koan-o-muka.n dustras mai hain...
Ankh khuli tou zaat kii manzil bhi dour thi...
Aik mudat se ye mamool huwa hai abb tou...
Aap hii roothna aur aap munaty rehna...
Dyar-e-noor mai taira shaboun ka sathi ho...
Koi tou ho jo meri weshatoun ka sathi ho....
Mai uss se jhoot bhi boalun tou mujh se sach boaly...
Mery mizaaj kai sab mosamou.n ka sathi ho...
Mai uss k hath na aun tou wo mera ho kar ruhay...
Mai girr paroun tou meri pastioun ka sathi ho...
Wo mery naam kii nisbat moatbur thehary....
Gali gali meri ruswaioun ka sathi ho...
Kary kalaam tou mujh se mery lehjay mai...
Mai chup rahoun tou mery taiwaroun ka sathi ho...
Mai apny aap ko dhaikoun wo mujhay dhaikhy jaiey...
Wo mery nafus kii gumrahioun ka sathi ho...
Wo khwab dhaikhay tou mery hawaly se...
Mery khyal k sab manzaroun ka sathi ho...
Kitnay moasam sar gurda.n thay mujh se hath milany mai..
Mai ne shaied dairr luga dii khud se bahir aany mai..
Aik nigah ka sunata hai, aik aawaz ka banjar-punn..
Mai kitna tanha baitha hun, qurbat k weerany mai..
Jo meri yaad k sehra mai goonjhta hai abhi
Wo ek lamha-e-khamosh tha, jo beet gia...
Dhaiko khwab magar khwab ka charcha na karo..
Loag jal jaien gai sooraj kii tamnah na karo..
Moam k rishtay hain garmi mai pigal jaien gai..
Dhoop k shehar mai tamasha na karo...!
Apnay be khwab kawarou.n ko maqfal kar lo...
Ab yuhan koi nahi koi nahi aaiey ga...!
Magar wo hijra.n kii taiz barish, jiss main har rang beh gia hai
Wo shakhs meri tamanah k aaienay mai bay chehra reh gia hai...
Mai apni zaat mai neelaam ho ruha hun Qateel..
Gham-e-hayat se keh dou khareed laiey mujhy..
Koi ham nafs nhin hai, koi razz da nhin hai
Faqt ek dil tha apna soo wo mehrba.n nhin hai
Enhi.n pathroun pe chal k agar aa sako tou aao
Meray ghar k rasty mai koi kehkasha.n nhin hai...
Jazbay tumaam kho gaiey, lamhoun kii dhool mai
Abb dil mai dharkanoun k siwa kuch nhin ruha
Labb sii liey tou apnay hii kamray mai yun laga
Khamosh aaienou k siwa kuch nhin ruha...
Ye socha tha k pathar bann kar jii lun...
Soo andhar se pighalta ja ruha hun...
Har Chara-ghar ko chara gharii se guraiz tha...
Warna hamain jo dukh thay bohat la-duwa na thay
Tulash-e-Manzil k marhalou.n mai ye hadisa ekk ajab dhaikha
Fraib rahoun mai baith jata hai soort-e-aitbaar bann kar
Uss ne paikur mai na dhulny kii qasam khaie hai
Aur mujhy shoq-e-mulaqaat liey phirta hai...