Ye jo wakt hay Meray Sheher par...
Kayeee Moasmon say Roka hoa...
Issey izn de ke Ye Chal Parey...
Meray Asmaan sai Door ho..
Koye Chand Chehra,
Kushaa karay...
Koye Aftaab Zahoor ho...
Keh Nawah-e-Chashm-e-Khiyaal main..
Woh-jo Khuwaab they, woh Dhuan hoayee..
Wo jo Aag thi wo nahii Rahee
Jo yakeen they,
Wo Guma.n hoay..
Koye Dhund hey ,Jisey daikhtey
Meri Aankh Barf si hoo gayee..
Wo ibarat sar-e-Loh-e-dil...
Kisi Rabt sey nahe Aashna..
Ke Jo Roshni the kitab main..
Wohi harf harf si ho gayee..
Koye GardBaad Uthey kaheen,
Kisi Zalzalay ki Namood ho...
Ye jo "Hast" hey Meray Char su..
Koye Mojizaa ke Ye "Boud" hoo...
Meri Aankh main ye jo Raat hey..
Meri Umr si, issey taal dey..
Meray Dasht Raig-e-Malaal ko..
Kisi Khush khabar ka Ghizal dey...
Ye Falak pe jitney Nojoum hain..
Teray Hukm ke hain ye Muntazir...
Wo jo Subh-e-Nou ka Nakeeb ho..
Meri Samt usko Uchaal Dey,..!
No comments:
Post a Comment