Monday, July 20, 2009

Peer-e-Kamil


“Peer-e-Kamil koan hota hay?


“Peer-e-Kamil main kamliyat hoti hay..kamliyat un tamam cheezon ka majmooa hoti hay jo aap kah rahay thae, Peer-e-Kamil wo shakhs hota hay jo Dil se Allah ki ibadat karta hay, Naik or Parsa hota hay.. uss ki har Dua qubool hoti hay,iss hud tak jis hud tak Allah chahay..uss k alfaz main taseer bhi hoti hay, wo loagon ko hidayat bhi daita hay magar ussay Alham nahi hota,ussay Wajdan hota hay,Wahi utarti hay us par or Wahi kisi Aam Insan par nahi utarti…sirf Paighambar par utarti hay…1 Lakh 24 Hazar Paighambaron main se har Paighambar Kamil tha magar Peer-e-Kamil wo hay jis par Nabuwwat ka silsila khatam kar diya jata hay…
Har Insan ko Zindagi main kabhi na kabhi kisi Peer-e-Kamil ki zaroorat parti hay,kabhi na kabhi Insani zindagi us mor par aa kar zaroor khari ho jati hay jab ya lagta hay k hamaray labon or Dilon se nikalnay wali Duayain be-asar ho gai hain,hamaray sajday or hamaray phailay huay hath rahmaton or naimaton ko apni taraf mor nahi pa rahay…Yun lagta hay jaisay koi talluq tha jo toot gaya hay phir Admi ka dil chahta hay abb uss k liye koi or hath uthaye,kisi or k lab uss ki Dua Allah tak Pohanchayain, koi or Allah k samnay uss k liye gir-giraye, koi aisa shakhs jiss ki Duayain qabool hoti hon, jis k labon se nikalnay wali il-tejayain uss k apnay lafzon ki tarha wapis na moar di jati hon phir Insan Peer-e-Kamil ki talash shuru karta hay, bhagta phirta hay, Dunya main kisi aisay shakhs k liye jo Kamliyat ki kisi na kisi seerhi par khara ho…….

Peer-e-Kamil ki ya talash Insani Zindagi k irteqa se abb tak jari hay.. yai talash wo khuahish hay jo Allah khud insan k dil main paida karta hay….. Insan k dil main yai khuahish, yai talash na uteri jati to wo Paighambron par kabhi yaqeen na lata… kabhi un ki pairvi or Ata’at karnay ki koshish na karta, Peer-e-Kamil ki yai talash hi insan ko har zamanay main utaray janay walay Paighambaron ki taraf lay jati rahi....

phir Paighambaron ki Ma-boosiyat ka ya silsila Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k sath kahtam kar diya gaya… Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) ki ummat k liye Aap(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k baad kisi or Peer-e-Kamil ki gunjaiysh nahi rakhi gai...

Koan hay jissay ab ya aainda anay wallay zamanay main Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar koi muqam diya jaye???

Koan hay jissay Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) se barh kar Kamliyat de di jaye????

Koan hay jo Aaj ya ainda anay walay zamanay main kisi Shakhs k liye Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)se barh kar Shafa’at ka dawa kar sakay???

Jamid or mutaqil khamoshi k surat main anay wala “Nafi”main ya jawab ham se sirf aik sawal karta hay….

Peer-e-Kamil(Sallal Laho ALahe Walay Hi Wasallam) ko chor kar ham dunya main or kis wajood ko khojnay nikal kharay huay hain?? Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k Bay’at Shuda hotay huay hamain doosray kisi Shakhs ki Bay’at ki zaroorat rah gai hay????

Peer-e-Kamil(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k rastay par chalnay k bajaye hamain doosra koan sa rasta apni taraf khainch raha hay???

Kia Musalmanon k liye Aik Allah, Aik Quran, Aik Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or un ki Sunnat kafi nahi????

Allah us k Rasool Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)or uss ki Kitab k ilawa or koan sa shakhs ,koan sa Kalaam hay jo hamain Dunya or Akhirat ki takleefon se bacha sakay ga????

Jo hamari Duaoon ko qabooliat bakhshay,jo ham par naimatain or rahmatain nazil kar sakay??

Koi Peer-e-Kamil ka firqa(sect) bata sakta hay???Nahin bata sakta”

“Wo sirf Musalman thay, wo musalman jo yai yaqeen rakhtay thay k agar wo Sirat-e-Mustaqeem par chalain gai to wo jannat main jayain gay, sus rastay se hatain gai to Allah k Azab ka nishana banain gai..
or Sirat-e-Mustaqeem wo rasta hay jo Allah apnay Paighambar(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye Quran Pak main batata hay, saaf, do toak or Wazah Alfaz main… wo kaam karain jis ka hukam Allah apnay Rasool(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam)k zariye daita hay or uss kaam se ruk jayain jis se mana kia jata hay…..

Allah, Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahe Walay Hi Wasallam) or Quran kisi baat main koi abham nahi rakhtay..
Quran ko kholiye,agar us main kahin do tok or ghair-mubham alfaz main kisi doosray Peer-e-Kamil ya Paighambar ka zikr milay to us ki talash kartay rahiya or agar aisa kuch nazar nahi ata to phir sirf khof khaiye k aap apnay pairon ko kis daldal main liye ja rahay hain… apni 50,60 Sala zindagi ko kis tarha apni ubdi zindagi ki tabahi k liye istemal kar rahay hain,kis tarha Khassaray ka soda kar rahay hain.. Hidayat ki talsh hay?

Quran kholiye.. kia hay jo wo aap ko naho bata daita.. wo aap ko masoom, anjan or ba-khabar nahi rahnay daita… aap ka asal aap k monh par de marta hay.. Kia Allah Insan ko nahin janta hoga??? uss Makhlooq ko jo uss ki Arbon, Kharbon(Million,Billion) takhleeqat main se aik hay…

Dua qabool nahi hoti to asar or waseelay talash karnay k bajaye sirf hath utha lijye, Allah se khud mangain… de day to shukar karain, na day to Sabar…………..magar hath aap khud hi uthayain..

Zindagi ka qareena or saleeqa nahi araha to Aswa-e-Husna(Sallal LahoAlahe Walay Hi Wasallam)ki taraf chalay jayain,sab kuch mil jaye ga aap ko
Aihtram har aik ka karain…….

har Wali ka, har Momin ka, har Buzurg ka, har Shaheed ka, har Saleh ka, har Parsa ka......
Magar apni zindagiyon main hidayat or rahnumai sirf Hazrat Mohammad(Sallal Laho Alahae Walay Hi Wasallam)se lain q k unhon ne aap tak apnay zaati ahkamat nahi pohanchaye jo kuch bataya hay wo Allah ka nazil karda hay.......

In Peer-e-Kamil by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment