Monday, July 20, 2009

Allah


Zindagi main baaz dafa hamain pata nahi chalta k hum tareeki say bahir aaye hain ya tareeki main dakhil howay hain... Andheray main simt ka pata nahi chalta magar aasmaan aur zameen ka pata zaroor chal jata hai balkay har haal main chalta hai... Sar uthanay par aasmaan hi hoata hai... Nazar aaye na aaye... Sar jhukanay par zameen hi hoti hai, dikhai dai na dai magar zindagi main safar karnay k liye sirf chaar simt’oon hi ki zaroorat parti hai... Daa’ain, baa’ain, aagay, peechay. Panch’ween simt pair’oon k neechay hoti hai. Wahan zameen na ho tu paa’taal aa jata hai.Paa’taal main pohanchnay k baad kisi simt ki zaroorat nahi rehti....
Chatti simt sir say opper hoti hai. Wahan jaya nahi ja sakta. Wahan ALLAH hota hai. Ankhoon say nazar na anay wala magar dil ki har darkhan, khoon ki har gardish, har anay janay walay saans, halq say utarnay walay har niwala k sath mehsoos honay wala……..


(In "Peer-e-Kamil" by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment