Monday, July 20, 2009

Dua


"Ya Allah! insaan kitna majboor hai." (Washma Hadi Hasan to Allah in Wujood-e-Laraib)

"yahan kharay ho ker Tuj say Anbiya dua manga kertay thay.un ki duaoon main or meri duaoon main bohat faraq ha.. main Nabbi hota tu Nabiyon jasi dua kerta, mager main tu amm bashar hoon, gunahgar bashar.meri khawishaat,meri arzooain sab amm hain, yahan kharay ho ker koi kabhi kisi oarat kay liay nahi roya hoga, meri zilat oar pasti ki iss say ziada intaha aur kia hogi kay main yahan khara, haram-e-paak main khara, aik oarat kay liay girgira reha hoon... mager mujko na apnay dil per ikhtiyar ha na apnay ansooun per, yai main nahi tha jis nay iss oarat ko apnay dil main jaga di.. yai Tu nay kia keun meray dil main uss oarat kai liay itni mohabbat dal di ka main Teray samnay khara bhi ussi ko yaad ker reha hoon? main wo bashar hoon jis ko Tu nay inn tamam khamiyon kay sath banaya.. jis ko Teray siwa koi rasta dekhany wala nahi, aor wo osrat meri zindagi kay her rastay per khari ha... mujahay kahin janay nahi day rehi.. ya Tu usski mohabbat ko meray dil say iss tarah nikal day kay mujhay kabhi uss ka khayal tak na aye, ya phir ussay mujhay dai day.. wo nahi milay gi tu main sari zindagi ussi kay liay rotta rahoon ga, wo mil jai gi tu Teray ilawa main kisi kay liay aanso nahi baha sakoon ga, meray ansooun ko khalis honay day... main yahan khara tujsey paak oartoon main sa aik ko mangta hoon"


(In "Wujood-e-Laraib" by Umaira Ahmed)

No comments:

Post a Comment