Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Wednesday, July 29, 2009

Meray dushmano say kaho

Meray dushmano say kaho koi
Kisi gehri chaal kay ehtamaan ka silsila hi fazool hai
Ke shikast yun bhi qabool hai
Kabhi hoslay jo missal thay, wo nahin rahay

Meray harf harf kay jism per
Jo maani kay par-o-baal thay, wo nahin rahay
Kabhi titliyon, kabhi jugnu’on say sajaye phirtay khayal thay
Wo nahin rahay

Meray dushmanon say kaho koi
Woh jo shaam sher-e-wisaal main
Koi roshni si liye huay kisi lub peh jitney sawal thay
Wo nahin rahay

Jo wafa kay baab main wehshaton kay kamal thay, wo nahin rahay
Meray dushmanon say kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishat main
Mujhay khud peh itna ghuroor tha, kaheen kho gia
Woh jo fatehana khumar main
Meray saray khwab nihaal thay
Woh nahin rahay

Kisi dasht-e-lashkar-e-sham main
Meray sur-khuroo mah-o-saal thay, wo nahin rahay
Ke bus ab to dil ki zuban per
Faqat aik qissa-e-haal hai ………
Jo Nidhaal hai
Jo gaye dinon ka malaal hai
Meray dushmanon say kaho koi

Ye jo wakt hay

Ye jo wakt hay Meray Sheher par...
Kayeee Moasmon say Roka hoa...

Issey izn de ke Ye Chal Parey...
Meray Asmaan sai Door ho..

Koye Chand Chehra,
Kushaa karay...
Koye Aftaab Zahoor ho...

Keh Nawah-e-Chashm-e-Khiyaal main..
Woh-jo Khuwaab they, woh Dhuan hoayee..

Wo jo Aag thi wo nahii Rahee
Jo yakeen they,
Wo Guma.n hoay..

Koye Dhund hey ,Jisey daikhtey
Meri Aankh Barf si hoo gayee..
Wo ibarat sar-e-Loh-e-dil...

Kisi Rabt sey nahe Aashna..
Ke Jo Roshni the kitab main..
Wohi harf harf si ho gayee..

Koye GardBaad Uthey kaheen,
Kisi Zalzalay ki Namood ho...

Ye jo "Hast" hey Meray Char su..
Koye Mojizaa ke Ye "Boud" hoo...

Meri Aankh main ye jo Raat hey..
Meri Umr si, issey taal dey..

Meray Dasht Raig-e-Malaal ko..
Kisi Khush khabar ka Ghizal dey...

Ye Falak pe jitney Nojoum hain..
Teray Hukm ke hain ye Muntazir...

Wo jo Subh-e-Nou ka Nakeeb ho..
Meri Samt usko Uchaal Dey,..!

Monday, July 13, 2009

Dunya Kay Ajab-khanay Main

Din-Raat kay Aanay jaanay main
Dunya kay ajab-khanay main
Kabhi Sheeshay Dhundlay hotey hain
Kabhi Manzar saaf nahin hotay!
Kabhi Suraj Baat naheen karta
Kabhi Taray Aankh badaltay hain
Kabhi Manzil Peechay Rahti hai
Kabhi Russtay Aagay chaltay hain
Kabhi Aasein Tour naheen Charhteen
Kabhi khadshay pooray hotay hain
Kabhi Aankhain deikh nahee sakteen
Kabhi khawab Adhuray hotay hain
Ye sab sahee hey Laikin
Aashoob kay Manzar-Naamay main
Dunya kay Ajab-Khaney main
Kuch saaya karti Ankhoon ka
Pamaan to Dikhai datey hain
hathon sey Agar-cheh door sahi,
Imkan to Dikhaii datey hain
Haan,,, rait kay is durya say udhar
Eik pairoon wali basti key
Unwan to dikhai datey hain
Manzil say Kosoon door sahi
Pur-Dard sahi , Ranjoor sahi
Zakhmoun say Musaafir choor sahi
Pur kis say Kahein ay jaaney-wafa
Kuch aisay ghaw hotay hain
Jinhain Zakhmi Aap nahin Dhotay
Bin roye hoye aansoo ki tarha
Seenay main chupa kar Rakhtey hain
Aur Saari Umr Nahin Rotay
Nendain bhi Muhayya hotti hain,
Supnay bhi Door Nahin hotay
Kyun phir bhee jaagtay rahtay hain!
Saari raat nahin Sootay
Abb kis say kahain ay jaanay wafa, ay ahlay-wafa
Kiss Aag main jaltay rahtay hain,
Keun Bujh kar Raakh nahin hotay…..

Nahi Milta

Dil main ho to kuch Kahiyye..Na ho to kia kahiyee..?
Lafz mil Jatay hain, Mudd’aa Nahi milta..

Sab ko aik Hasrat hay Dosray say Milnay ki…
Sab ko aik Shikayat hay, Dosra Nahi Milta…

Kitna Tang karti hayn ye Bhari Puri Sarkain..
ittnay Log Chaltay hain ke, Rusta Nahii Milta..

Uon to Sheher main Teray Dost bhi hain, Dushman bhii…
Aadmi Koye apney Kam ka magar Nahii Milta..

Ankhain Bujhi Bujhi si

Ankhain Bujhi Bujhi si, Lehja thaka thaka sa…
Phir Zabt kar rahay ho, Koye Gham Naya Naya sa…
Mumki Nahi ye Duniya, Phir bat man jayee..
Kehnay to do jo hak hay, ye Hak to hay Zara sa..
Wo Chand aaj aya hay, phir say Aasman par,..
Yadon ki Chandni main, Tanha Khila Khila sa…
Ab rehem Koun Chahay, iNsaf koun Mangay..!
Har Shakhs Ban raha hay,Apni Jagha khuda sa..
Ye AaRZoo hay keh tum ho, or ChodhWeen ki Shab ho…
Wo Chand bhi to daikhay. Ye Chard DilRuba sa…
Rah-e-wafa ye tum bhi, ab Sath chalke daikho..
Har Sheher, shehr-e-sang or har-kas Guraiz-Pa sa…
isskey Bahao main ab, Behna nahee Gavara..
Wo sab main Reh raha hay, sab say Juda Juda sa..
Jiski Khushi ki Khatir, Daman Chura Liya hay..
Woo-hii Na janay kewn hay, ham say Khafa Khafa sa…
Tum sach hi Keh rahay ho ! Ye Bat Mantay hain..
Par kiaa karayn keh ham ko,Ye Sach Laga Bora sa..
Ittnay Faraib Khaye, Phir bhi Sabak na Seekha…
Bay-shak koye Jahan main, Saada nahe huma sa…

Mohabbat Thehar Jaati Hai

Hum Aksar yeh Samajhtay hain
Ham Jis-sey Mohabbat kertey they..
Usay hum Bhool Baithay hain
Magar Aisa nahin hota
Mohabbat daimi such hai
Mohabbat theheR jaati hai!!!

Hamari baat kay Andar...
Mohabbat baith jaati hai..!
Hamari Zaat kay Andar...
Magar yeh kam Nahin hoti ...

Kisi bhi dukh ki Soorat mein !
Kabhi kissi Zaroorat mein..
Kabhi Anjaan sa gham Bankar..!..
Kabhi lehjay ki thakan Bankar..!..
Udaasi ki zaroorat mein ..
Kabhi Baarish ki Soorat mein ..

Hamari Aankh kay Andar !
Kabhi Aab-e-Rawan Ban-kar !
Kabhi Qatray ki Soorat mein..
Bazahir Aisa hi Lagta hai ..!
Usay hum Bhool Baithay hain ..
Magar Aisa Nahin hota .....
Aisa Har-Giz Nahin hota....
Yeh Harr-Giz kam Nahin hoti...
MOHABBAT THEHER JAATI HAI...!!!

Chalo Tum Ko Butatai Hain

Chalo tum ko butatai hain
Kay tum ko daikh ker Dil nai
Kuha tum rista-e-ja.n sai bur ker ho
Dua kii surhado.n per
Jo adhori hai, merii aisi tumuna ho
Meray Dil ka muqader ho
Kay tum ikk roshni bunn ker.......Shufa lai ker
Kisi dust-e-museeha kii turha
Utray huway hur zuhm-e-ja.n per ho
Chalo tum ko butatai hain
Kay tum emaan humara ho
Saraa-e-hureeri mai, Undaish-e-zindgani main
Tumhi Dil ka suhara ho
Wufa ka istara ho
Tumhari aarzuo.n ka jo ikk idraak hai muj mai
Kissi mai ho nhin sukta
Tumhari muskuraht ka jo ikk urmaan hai muj mai
Kisi mai ho nhin sukta
Chalo tum ko butatai hain...

Kab Koan Kisi Ka Hoata Hai

Kis ehad ki batain kartay ho
Kab kon kissi ka hota hay

kab kon kisi ke chahat main
Youn zehar ka sagir peeta hay

Hijar Muhabat mehar -o- wafa
Sab rasmi rasmi batain hain

Har shaksh khudi ki masti main
Bas apni khatir jeeta hay

Teri Rehmuton Kay Diaar Main

Teri rehmuton kay diaar main, teray badlon ko puta nhin
Abii aag surd nhin hui, abi ek ulao buja nhin

Meri nurm-e-dil to ujar chuki, mera furz-e-jan to simatt chuka
Sabii ja chukay meray humnashee.n mugar aik shuhas gia nhin

Dar-o-baam sub nai suja liay, sabi roshani main nuha liay
Meri unglian bii jhulas gaiey mugar ek chiragh jula nhin

Gham-e-zindagi teri rah main, shab-e-aarzu teri chah main
Jo ujar gia wo busa nhin, jo bichar gia wo mila nhin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha, meray paas reh kay bii door tha
Wohi ek gulaab umeed ka, meri shah-e-jan per khila nhin

Pus-e-karwan, sur-e-rahguzar,main shikista pa hun to iss liay
Kay qadam to sub nai mila liay, mera dil kisi sai mila nhin

Mera humsafar jo ajeeb hai to ajeeb tur hun main aap bii
Mujay munzilu kii khabar nhin, Usay rastun ka puta nhin

Gii Chahuta Hai

Gii chahuta hai koi suhan aashna bii ho
Ubb to shreeq-e-durd koi dusraa bii ho

Phir main bii raiza raiza honay sai buch sakun
Phir hushguwar mujh sai salook-e-huwa bii ho

Phir zindagi kay dung achay lugain tumaam
Phir zufushan huwa main chirag-e-unna bii ho

Lafzun main soaz aaiey ga laikn yai shurt hai
Iss ghum main koi meri turha mubtula bii ho

Tunha buthaq ruha hun,Sur-e-dust-e-aaguhii
Aawaaz dai koi kay mujay hoslaa bii ho

Hur Durd Pehan Laina

Hur durd pehan laina, hur khwab main kho jana
Kia upni tabiat hai, hur shuhas ka ho jana

Eik shehar buna laina bichray huway logun ka
Phir shub kay juzeeray main dill thaam kay so jana

Mozu-e-suhan kuch bii ho dairr tuk ussay tukna
Hurr lafz pay rukk jana hurr baat pay kho janaa

Aana to bikhar jana sansun main mehaq bunn ker
Jana to kulagay main kantain sai chubo jaana

Hur sham uzaiem kay kuch mehal bunaa laina
Hur subha eiradun kii duhleez pay soo jana

Dil Mai Utar Ker Nhi Dhaika

Ankhoun mai ruha dil mai utar ker nhi dhaika
Kashtii kay musafir nai samandar nhi dhaika

Baywaqt ugar jaoun ga to sab chonk parain gai
Eik umar hui din mai kabi ghar nhi dhaika

Jiss dinn sai chula hun meri manzil per nazar hai
Aankhoun nai kabi meel ka pathar nhi dhaika

Yai phool mujay koi wirasat mai milay hain
Tum nai mera kanto bura bistar nhi dhaikha

Yaron kii muhabat ka yaqeen kar lia mai nai
Phoolun mai chupaiea huwa hunjar nhi dhaika

Meboob ka ghar ho ya bazurgo kii zameenain
Jo chor dia phir ussay mur ker nhii dhaika

Pathar kehta hai mujay mera chahunay wala
Mai moam hun uss nai mujay chu kar nhi dhaika

Wo meray musaiel ko samaj hii nhi sakta
Jiss nai meri aankh mai samandar nhi dhaikha

Aarzu

Merii rooh mai jo utar sakain wo mohabtain mujay chahiyan
Jo saraab hun na azaab hun, wo rufaqtain mujay chahiayan

Unhii saietoun kii talash hai jo calandroun sai utar gaien
Jo sumai kay sath guzar gaien, wohii furstain mujay chahiayan

Kahee mill sakain too sumait laa, meray roz-o-shab kii kuhania
Jo ghubar-e-waqt main chup gaien wo huqaietain mujay chahiayan

Jo merii shaboun kay chiragh thay, jo merii umeed kay bagh thay
Wohii loag hain merii aarzu, wohii soortain mujay chahiayan

Terii qurbutain nhin chahiayan meray shaierii kay mizaaj koo
Mujay fasloun sai duwaam dai, terii furqutain mujay chahiayan

Mujay aur kuch nhi chahiay yai duaieay hain mera saieban
Karhii dhoop main kahien mil sakian to yahii chutain mujay chahiayan

Kabhi Saayaa hai Kabhi Dhoop

Kabhi Saayaa hai kabhi dhoop muqadar mera
Hoata rehta hai yuu.N hii qurz buraabar mera

Toot jaate hai.n kabhi mere kinaare mujh mai
Doob jata hai kabhi mujh mai sumandar mera

Kisi sehraa mai bichar jaye.n gai sab yaar mere
Kisi jangal mai bhatak jaaye gaa lashkar mera

Bawufa thaa to mujhe poochne waale bhii na thay
Bewufa hun to huaa naam bhii ghar ghar mera

Kitney hansate huey mausam abhii aate lekin
Ek hii dhoop ne kumla diya manzar mera

Aakhiri jur'a-e-pur_kaif ho shaayad baki
Ab jo chulka to chalak jaaye gaa sagar mera

Ehtiyat Kertay Hein

Zindagi k maidaan mein
Barha ye dekha hay
Sirf sun nahi rakha
Khud b azmaya hay
Tajrabon say sabit hay
Jo b suntay aye hein
Uss ko theek paya hay
Ess tarha ki baton mein
Manzilon say pehlay hi
Sath choot jatay hein
Loag roth jatay hein
Tum ko mein bata don phir
Chahatoon kay rishtoon mein
Phir girah nahi lagti
Lag b jaye tu us mein
wo kashish nahi rehti
Ek phika phika sa rabta tu rehta hay
Dilkashi nahi rehti
Rooh kay taluk mein
Zindagi nahi rehti
Lakh bar mil ker b
Dil kabhi nahi miltay
Yaad k dareechon mein
Zehan k jharookon mein
Titlioon k rugoon say
Phool phir nahi khiltay
Ess liye mein kahta hon
Ess tarha ki batoon mein
Ehtiyat kertay hein
Ess tarha ki baton say ijtanab kertay hein.

Sunday, July 12, 2009

Meri Zindagi tou Firaaq Hai

Meri zindagi tou firaaq hay..
Wo azal say dil may makee.n sahi
Wo nigaah-e-shok say door hain..
Rag-e-jaan say laakh Qaree.n sahi

Hamain jaan daine hay aeek din..
Wo kisi tarah woh kaheen sahi
Hamain aap khainchiye daar par...
Jo naheen kaheen to hameen sahi

Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho...
Hamain intizaar kabool hay
Wo kabhi milain, woh kaheen milain...
Wo kabhi sahi, woh kaheen sahi

Na ho in pay jo mera bas naheen...
Kay yeh Aashiqi hay hiwas naheen
Mai in-he ka tha, mai inhe ka hoon..
Wo mery naheen to naheen sahi

Jo ho faisla woh sunaeyee...
Iisay hashar par na uthayee
Jo karaingay aap sitam wahaan...
Wo abhi sahi, Wo yaheen sahi

Isay daikhnay ki jo lo lagi...
Tou naseer daikh he laingay hum
Wo hazaar aankh say door ho...
Wo hazaar parda nasheen sahi

MUHABAT

Koi zungeer ho,
Aahun ki ,Chandi ki, Ruwaiet ki
Muhabat toar sakti hai!!
Yai aiasi dhaal hai jiss per......
Zumanay ki kisi tulwar ka loha nhi chulta!!
Yai aisa shehar hai jiss mai.....
Kisi aamar ,kisi sultan ka sika nhin chulta!!
Ugar chusam-e-tumasha mai zura sii bi milawat ho........
Yai aaiena nhin chulta!!
Yai aise aag hai jis mai...
Budan sholay mai jultay hain to....
Ruhainay muskurati hain!!
Yai wo sailaab hai jis ko....
Diluno ki bustiana aawaz dai kur hud bulati hain!!
Yai jub chahay kisi bii khwab ko tabeer mil jaiey,
Jo munzar bujh chukay hain unn ko b tanweer mil jaiey,
Dua jo bay thukana thi, usay taaseer mil jaiey,
Kisi rustay mai rusta puchti tuqdeer mil jaiey,
Muhabt rok sakti hai sumay k taiz dharay ko!!
Kisi jaltay shuraray ko, funah k istaray ko!!
Muhabat rok sakti hai,kisi girtay sitaray ko!!
Yai chukna choor aaieenay ki kirchiana jor sakti hai...
Jidhar chahay yai bagay mor sakti hai...
KOI ZUNGEER HO USS KO,
MUHABAT TOR SAKTI HAI!!

Muhabbat Ham-Safar Meri

Kathan hai zindagi kitni
Safar dushwaar kitna hai

Kabhi paaon nahi chaltay
Kabhi rasta nahi milta

Hamaara saath dai paai
Koi aisa nahi milta

Faqat aise guzaaroon tu
Ye roz-o-shab nahi kat-tay

Ye kat-tay they kabhi pehlay
Magar haan ab nahi kat-tay

Mujhay phir bhi meray maaalik
koi shikwaa nahi tujh sai

Main jaan per khail sakta hoon
Main her dukh jhail sakta hoon

Agar tu aaj hi ker dai
Muhabbat ham-safar meri

Aao Upnay Upnay Khwab Chunaiy

Aansu ub tuk kis honi ko roak sakay hain?
Kub tulak inn k sath buhaiay!
Janay wali peeli rutt mai kitni gurd urii!
Kiss nai kiss ko kitna khoia, kitna yaad kia!
Taiz huwa ki sufaqi ne kia kia kuch burbaad kia!
Aao jo kuch beet chuka usko dufan kurai.n
Girtay patuno ki dairie sai upnay upnay khwab chunaiy
Aur yaad kurai.n wo runglay moasam jinko ubi aana hai
Aur geet sunai.n unn rahuno k
Jo dasht-e-uzal sai nikli thi.n
Aur jin k sath humainy b upnay shehar-e-ubad tuk jana hai
Aienda k khwab hi to wo sikay hain jo,
Urz-o-suma ki hur basti mai chulnaiy walay hain,
yahi dieay hain jo aandi ki rah mai julnay walay hain.
Khwabuno ki iss beer sai aao
Hum tum upnay khwab chunainy
Zahmuno ki ginti ko chorain,
Aao phool ginai.n!!!