Zindagi k maidaan mein
Barha ye dekha hay
Sirf sun nahi rakha
Khud b azmaya hay
Tajrabon say sabit hay
Jo b suntay aye hein
Uss ko theek paya hay
Ess tarha ki baton mein
Manzilon say pehlay hi
Sath choot jatay hein
Loag roth jatay hein
Tum ko mein bata don phir
Chahatoon kay rishtoon mein
Phir girah nahi lagti
Lag b jaye tu us mein
wo kashish nahi rehti
Ek phika phika sa rabta tu rehta hay
Dilkashi nahi rehti
Rooh kay taluk mein
Zindagi nahi rehti
Lakh bar mil ker b
Dil kabhi nahi miltay
Yaad k dareechon mein
Zehan k jharookon mein
Titlioon k rugoon say
Phool phir nahi khiltay
Ess liye mein kahta hon
Ess tarha ki batoon mein
Ehtiyat kertay hein
Ess tarha ki baton say ijtanab kertay hein.
No comments:
Post a Comment