Monday, August 17, 2009

Maturity


Dunya mai larkiou se ehmaq aur koi ho bhi nai sakta. khus fehmi ka aaghaz aur ehtutam hum per hi hota hai.. Sari umar ham muhabat ki baisakhiou ka intuzaar karti rehti hain ta k zindagi ki race shuru kar sakain.n ...hamain har mard k bary mai khush fehmia.n rehti hain, k wo aiey ga humain dhaiky ga aur humara ho jaiey ga.. koi ham se hamdardi kary tou hamin khush fehmi hoany lagti hai- koi hami surahy tou wo hamain apni muthi mai qaid nazar aany lagta hai, koi hamary sath waqt guzary tou hamary hosh-o-huwas apny thukany per nhin rehty.. Kabhi larkia.n bhi mature ho sakti hain? ham mai Maturity sirf tub aati hai jub hamain iss tarha reject kia jata hai, jaisy abb mai mature ho gai hun....

(in "Amar Bail" by Umara Ahmed)

1 comment: