Friday, November 21, 2008

Wajood


Pushemaniou.n ki gard se atta huwa wajood
Ann gint cheharoun mai butta huwa wajood

Kuhan se dhoondain iss kii wo masoomiat
Ye gunahou.n kii daldal mai phansa huwa wajood

Qtra qatra adhoori sii mili issy muhabat
Chahat-e-natuma.n kii hatir sisukata huwa wajood

Kabhi mehfil-e-dosta.n jiss k damm se thi roshan
Aaj ye tunhaie kii aag mai jhulsta huwa wajood

Kal talak jissy dhoondhti thi nigah-e-zumana
Aaaj ye apni hii talash mai bhatkhta huwa wajood

Kanch kii tarha tha nazuk, phulo.n kii manid haseen
Wo jo gardish-e-dora.n mai bhi hansta huwa wajood

Mai ne aj usko toot kar bhikhrty dhiakha ha Muskan
Wo jo byaban-e-dunya ma tha mehkta huwa wajood

No comments:

Post a Comment