Friday, November 21, 2008

Gham-e-tanhaie


Kabhi kabhi tou mangta ho ga ye dil
Chahatoun kii zuba.n
Gambeer lehjay mai bassi muhabat...
Ya phir koi dharkata huwa dil
Jiss ki har dharkan per ho tera naam
Faqt tera hii naam....
Kabhi kabhi tou machalti ho gii ye khwish
Kai
Musafatou.n kii dhool se atty chehary per
Koi daly ikk nazr-e-ulfat...
Kabhi kabhi tou aankh mai umadty aasu.n ne bhi
Chaha ho ga
Kisi apny ka damun
Han manti hun, meri jaan
Zidgia ka safar yun tou nhi kutta karta
Koi tou chahiey hamsafar
Koi dard ka darma.n...
Koi maseeha...
Bohat haseen lagta ho ga chahatoun k sang safar
Magar...
Jiss dunya kii tu bassi hai
Kya ye mumkin hai wuha.n
Yuhan tou meri jaa.n
Koi sacha dil nhin milta
Chahutain, muhabatain, aansu, muskurahtain...
Sab bikty hain yuhan
Aur
iss dyar k makeenoun ka mashghala hai
Faqt dilou.n se khailna...
Samjha dou inn nadaan , machalti khwaishoun koo
Iss pagal dil ko
aur umdhaty, jaa.n koo aaty aasou.n ko
Kai
Bay wafaie k zakhm se
Bay atnaie k dard se
kahin behtar hai
Gham-e-tanhaie.....!

No comments:

Post a Comment