Jazbay tumaam kho gaiey, lamhoun kii dhool mai
Abb dil mai dharkanoun k siwa kuch nhin ruha
Labb sii liey tou apnay hii kamray mai yun laga
Khamosh aaienou k siwa kuch nhin ruha...
Ye socha tha k pathar bann kar jii lun...
Soo andhar se pighalta ja ruha hun...
Har Chara-ghar ko chara gharii se guraiz tha...
Warna hamain jo dukh thay bohat la-duwa na thay
Na gunwao nawak-e-neem kush, dil raiza raiza gunwa dia
Jo bachy hain sang smait lo, tun-e-dagh dagh luta dia
Jo rukay tou koh-e-gura.n thay ham, jo chaly tou Jaa.n se guzar gaiey
Rah-e-yaar ham ne qadam qadam tujhay yaad gaar buna dia
Tulash-e-Manzil k marhalou.n mai ye hadisa ekk ajab dhaikha
Fraib rahoun mai baith jata hai soort-e-aitbaar bann kar
Uss ne paikur mai na dhulny kii qasam khaie hai
Aur mujhy shoq-e-mulaqaat liey phirta hai...
Jee chahuta hai koi sukhan aashna bhi ho
Abb tou shareek-e-dard koi doosra bhi ho
Lafzou.n mai soaz aiey ga lakin ye shurt hai
Ess gham mai meri tarha koi mubtula bhi ho